Rab ka haseen tohfa hai

Saughat hai yeh betiyaan

Khush-haal hai woh ghar jahan

Aabad hai yeh betiyaan


Iss mulk ki iss desh ki

Buniyaad hain yeh betiyaan

Hum khushnaseeb hain jo teri

Aulaad hain betiyaan


Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan

Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan


Apne hunar se fann se

Mehnaton se lagan se

Apne hunar se fann se

Mehnaton se lagan se

Chhu le gagan ko betiyaan


Har rang mein har roop mein

Har chaand mein yeh betiyaan

Dikhne lagi hain jung ke

Maidaan mein yeh betiyaan


Tum yahan har woh jagah

Raunak ki bhejo wajah betiyaan


Kahin gagan hain betiyaan

Kahin kalam hain betiyaan

Safar mein hain yeh humsafar

Kadam kadam hain

Yeh kab tak marengi kokh mein

Kab tak jalengi betiyaan


Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan