Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain

Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain


Nazron ne dil ki baat kahi

Lab sile to hain

Haan woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain


Har mod pe milenge hum

Yeh dil liye huye

Har baar chahe tod do

Woh hausle to hain


Aakhir ko rang la gayi

Meri dua ae dil

Hum der se mile hon sahi

Lekin mile to hain


Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain


Manzil bhi karwan bhi tu

Aur humsafar bhi tu

Wakif tumhi se pyar ke

Sab kafile to hain


Maana ke manzilein abhi

Kuchh door hain magar

Milkar wafa ki raah pe

Hum tum chale to hain


Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain

Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain


Nazron ne dil ki baat kahi

Lab sile to hain

Woh rubaru khade hain magar

Fasle to hain