I hope hum

Hum phir kabhi na milein


Sunn zara arziyan main maangta hoon

Mere khuda se teri

Sunn zara khwab meri neend mein bhi

Karte hain baatein teri


Sau bar khuda se maanga hai

Mannat ka tu woh dhaaga hai

Tu pyar ke badle mein

Apni yaadein de gaya


Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya

Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya


Hathon ki lakeerein bikhri huyi hain

Kismat mein jaane kya likha

Kash tu kahin se mil jaaye mujhko

Sajde main karta sir jhuka


Main yaad mein teri har lamha

Arse se khud mein rehta hoon

Tu khwahishon se badhkar

Jhoothe vaade de gaya


Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya

Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya


Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya

Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya


I hope hum

Hum phir kabhi na milein

I hope aisa hi ho


Main ghair tha tere liye

Phir mujhe sapne kyun de gaya