Abhi tumhein aur humein

Aur pyaar karna hai

Abhi tumhein aur humein

Beshumaar karna hai

Jab talak jahaan se

Bichhadna hai

Abhi tumhein aur humein

Aur pyaar karna hai


Abhi tumhein aur humein

Beshumaar karna hai

Abhi humein muddaton

Dilon ki baat karni hai

Abhi bohat si baarishein

Sath ghuzarni hain


Woh kabhi bhi koyi ashq jo teri

Aankh bhigana chahega

Tujhse pehle in aankhon mein

Aake woh ruk jayega

Aake woh ruk jayega


Abhi tumhein aur humein

Yeh ikraar karna hai

Abhi tumhein aur humein

Aur pyaar karna hai


Kayi khwahishon ko poora karna hai

Kayi dhoop chhanv se ghuzaran hai

Khushgawar khwaabon ko in haseen

Palkon mein utarna hai

Hum tere hi sang chalenge har kadam

Jab talak ki saanson ka chalna hai


Abhi tumhein aur humein

Aur pyaar karna hai

Abhi tumhein aur humein

Aur pyaar karna hai